Thursday, June 7, 2012

Funny Software Shayari

mere... Company kee ladkiyaan sunder hain Aur lonely hain...
Problem ye hai ki bus voh READ-ONLY hain...


Shayad mere pyar ko taste Karna bhool gaye...
Dil sey aisa CUT kiya ke PASTE karna bhool gaye..

 
Tumhare samne hain itney items Kabhi hame bhi pick karo...
Hamare pyar ke ICON pe Kabhi to tum DOUBLE-CLICK karo...


Roz subha hum karte hai Itne pyar se unhe good morning...
Woh humhe ghoor kar dekhte hain Jaise 0 ERRORS but 5 WARNINGS...



Ho gayi galti humse, Click ho gaya mouse
Duniya ki parwaah chhodo, ban jaao meri spouse!

Tumse mila main kal to, Mere dil mein hua ek sound,
Lekin aaj tum mili To kehti ho: Your file not found!


Ab aur kaho na tum, "but" ya "if"
Tum ho meri zindagi ki animated gif


Aysa bhi nahin hai ke, I don't likeyour face
Par dil ke computer mein, Nahin hai enough disk space



Ghar se nikalti ho tum jab, Pehen ke evening gown
Too many requests se, Ho jaata hai server down


Tumhaare liye pyaar ki application, Create main karoonga
Tum usse debug karna, Wait main karoonga


Tumhaara intezaar karte karte, Main so gaya
Yeh dekho mera connection, Time out ho gaya


Kya chaal hai tumhaari, Jaise chalti hai koi cat
What is your ICQ number, Aao karein chat


Tum jabse meri zindagi, mein aayi ho banke female,
Yaad raha na ab kuch, Na postman , Na e-Mail



Joh sadiyaon se hota aaya hai Woh repeat kar doonga...
Tu naa mili to tujhko dil sey Ctrl+Alt+Delete kar doonga...



Humse Kya Khata Hui Ki message Aanna Band Hai.......
Aap hi humse naraz hain ya Web Server band hai.......


Badli hai duniya , kuchch mein bhi badal gaya hoon
Pahle bekaar tha ab S/W Programmer ban gaya hoon


VC aaye to VB mein daal do,
VC aaye to VB mein daal do
seedhe seedhe sabko museebat mein daal do


Project extend ho gaya to kya ho jaata hai?
Are Tankha milti hai aur timepass ho jata hai..

teri yaad me sanam raat bhar humne to wine piya
teri yaad me sanam raat bhar humne to wine piya
kabhi offline to kabhi online piya


Pyar ke sitaare jab gardish mein hote hai
Pyar ke sitaare jab gardish mein hote hai
Laila ghar mein aur majnoo project testing kar rahe hote hai

1 comment:

  1. Shayari can be separated more often than not from exposition, which is dialect intended to pass on significance in a more broad and less consolidated way, much of the time utilizing more entire coherent or account structures than Shayari does. This does not really suggest that Shayari is silly, yet rather that Shayari is regularly made from the need to get away from the intelligent, and additionally communicating sentiments and different articulations in a tight, consolidated way. English Sentimental writer John Keats named this escape from rationale Negative Ability. A further intricacy is that exposition Shayari joins the qualities of Shayari with the shallow appearance of writing, for example, in Robert Ice's lyric, "Home Internment." Different structures incorporate account Shayari and emotional Shayari, both of which are utilized to recount stories thus look like books and plays. Be that as it may, both these types of Shayari utilize the particular elements of Shayari organization to make these stories more noteworthy or to improve them somehow.

    ReplyDelete